har taraf abb yahee afsane hain
!
ham teree aankho ke diwane hain !
har taraf abb yahee afsane hain !
...
1.
itanee sachchayee hai inn
aankho mey , khote sikke bhee khare ho jaye !
too kabhee pyar se dekhe jo
udhar , sukhe jangal bhee hare ho jaye !
bag , ban jaye, bag ban jaye jo , virane hain !
ham teree aankho ke diwane hain
, har taraf abb yahee afsane hain ...
2.
ek halka sa ishara inka , kabhee
dil aur kabhee jan lutega !
kis tarha pyas bujhegee usakee ,
kis tarha uska nasha tutega !
jiski kismat mey , jisakee kismat
mey , yeh paimane hain !
ham teree aankho ke diwane hain
, har taraf abb yahee afsane hain ...
3.
nichee najro mey hain kitna
jadu, ho gaye pal mey kayee khwab jawan
!
kabhee uthhne , kabhee jhukne kee
ada, le chalee jane kidhar jane kaha !
raste pyar ke , raste pyar ke
anjane hain !
ham teree aankho ke diwane hain
(2)
har taraf abb yahee afsane
hai ...
Film: Hindustan Ki Kasam (1973)
Singer: Manna Dey
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Kaifi Azmi
Singer: Manna Dey
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Kaifi Azmi
Picturised on: Raj Kumar, Priya Rajvansh.
===============================================================

No comments:
Post a Comment