Yeh daulat bhi le lo , yeh shohrat bhi le lo
Bhale chhin lo , mujhase , meri jawaani
Magar mujhako lauta Do
Bachpan ka Saawan !
Woh kaagaz ki kashti ,
Woh baarish ka paani !
Woh baarish ka paani !
Woh kaagaz ki kashti ,
Woh baarish ka paani (2)
Woh baarish ka paani (2)
Muhalle ki sabse , nishaani puraani
Woh budhiya , jise bachche kehate the naani
Woh naani ki baaton mein , pariyon ka dera
Woh chehare ki jhurriyon mein , sadiyon ka pera
Bhulaaye nahi bhul sakata hai koy !
Woh chhoti si raatein , woh lambi kahaani
Woh kaagaz ki kashti , woh baarish ka paani - (2)
Kadi dhup mein , apane ghar se nikalana
Woh chidiya woh bulbul , woh titali pakdana
Woh budhiya shaadi pe , ladada jhagadana
Woh jhulon se girana, woh gir ke sambhalana
Woh pital ke jharno ke pyaare se tope
Woh tuti huyi chudiyon , ki nishaani
Woh kaagaz ki kashti , woh baarish ka paani - (2)
Kabhi ret ke unchi tilon pe jaana
Gharonde banaana ,. banaake mitaana
Woh maasun , chaahat ki tasbeer apani
Woh khaabon khailauno ki jaagir apani
Na duniya ka ghum tha , na rishton ke bandhan ,
Badi khubsurat thi jindgaani
Yeh daulat bhi le lo, yeh shohrat bhi le lo , Bhale chhin lo mujhase meri jawaani
Magar mujhako lauta do bachpan ka saawan
Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani ........... !
Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani ........... !


