Wednesday, 19 August 2015

Woh chhoti si raatein , woh lambi kahaani !

 Yeh daulat bhi le lo , yeh shohrat bhi le lo
 Bhale chhin lo , mujhase , meri jawaani

Magar mujhako lauta Do
Bachpan ka Saawan !

Woh kaagaz ki kashti ,  
Woh baarish ka paani  ! 

 Woh kaagaz ki kashti ,  
 Woh baarish ka paani (2)


 Muhalle ki sabse , nishaani puraani
 Woh budhiya ,  jise bachche kehate the naani

 Woh naani ki baaton mein , pariyon ka dera
 Woh chehare ki jhurriyon mein ,  sadiyon ka pera

 Bhulaaye nahi bhul sakata hai koy !

 Woh chhoti si raatein , woh lambi kahaani 
                                       
 Woh kaagaz ki kashti ,  woh baarish ka paani  - (2)


 Kadi dhup mein , apane ghar se nikalana
 Woh chidiya woh bulbul , woh titali pakdana

 Woh budhiya shaadi pe ,  ladada jhagadana
 Woh jhulon se girana, woh gir ke sambhalana

 Woh pital ke jharno ke pyaare se tope

 Woh tuti huyi chudiyon ,     ki nishaani
                                           Woh kaagaz ki kashti ,  woh baarish ka paani - (2)

 Kabhi ret ke unchi tilon pe jaana
 Gharonde banaana ,. banaake mitaana

 Woh maasun , chaahat ki tasbeer apani
 Woh khaabon khailauno ki jaagir apani
 Na duniya ka ghum tha , na rishton ke bandhan ,

  Badi khubsurat thi jindgaani

 Yeh daulat bhi le lo, yeh shohrat bhi le lo , Bhale chhin lo mujhase meri jawaani
 Magar mujhako lauta do bachpan ka saawan

Woh kaagaz ki kashti woh baarish ka paani ........... !




No comments:

Post a Comment